ALLAMA Ibn e Taymiyah (Wahabi jin ko
Apna Sheikh Ul Islam manty hain wo)
bayan karty hain k Hazrat Maysrah (Radi ALLAH Ta'la
Anhu) rawayat karty hain k main nain
HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU
A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) say
arz kiya: (YA RUSUL ALLAH!) Ap ko
nubuwwat jab mili? To AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE
WASALLAM) nain farmaya: (Main us
waqt bhi NABI tha) jab ALLAH Ta'ala
nain zameeen ko paida kiya aur phir
wo Asmaan ki taraf mutwajjih hua aur
us nain usy saat (7) asmanon main taqseem kar diya, Phir ALLAH Ta'ala
nain arsh ko takhleeq kiya aur us ki
payshaani par likha: "Muhammad Mustafa (SALLALAHU
A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM)
ALLAH Ta'ala k RUSUL aur Akhri NABI
hain." Phir ALLAH Ta'ala nain Jannat ko
takhleeq kiya k jahan us nain Hazrat
Adam o Hawwa ('Alahima As Salam) ko
basaya tha, to Jannat k darwazon,
Darkhton k patton, Khaymon aur
Muhallat par mera naam likha. Us waqt Hazrat Adam ('Alahis Salam) Abhi Ruh
aur jis k darmayan thy, Phir ALLAH
Ta'ala nain unahin Paida farmaya to
unhoun nain arsh par mera naam likha
hua dykha, Tab ALLAH Ta'ala nain
unhain khabr di k (Ay Adam!) wo tere Ulad k sardar hain. is liay jab shaytan
nain unhain behkaya to unhoun nain
Tobah ki aur mere naam say ALLAH
Ta'ala ki ßargah main waseela ikhtiyar
kiya. From : Ibn e taymiyyah
Book : Majmu' Al Fatawa
Volume : 2
Page : 150 From : Ibn e taymiyyah
Book : Qa'idah Jaleelah fi Tawassul Wal
Waseelah
Page : 84
No comments:
Post a Comment