Monday 19 January 2015

@1 Jahan Logo Ki Aqal Langri, Maflooj Ho Jaati Hey Wahan Nigah e Nabuwwat Dekhti Aur Jahan Aqal Ka Charaagh Bujh Jaata Hey Wahan Sham'e Risalat Kaam Aati Hey @2 Zehan Ko Haazir Kar Ke Hazir Nazir K Ma'na Aur Is Hawale Sey Ahl e Sunnat Ka Aqeeda Samjen #HAZIR K Lugwi Ma'na Samney Mojud Hona Yani Gaaib Na Hona #NAZIR K Ma'na Dekhney Wala (Muntahul Arab, AlMisbahul Munir, Qamoosul Lugaat..) #Jahan Tak Hamari Nazar Kaam Karey Wahan Tak Hum Nazir Aur Jis Jagah Tak Hamari Dastarus Ho Ke Tasarruf Kar Len Wahan Tak Ham Hazir, Aasman Tak Nazar Kaam Karti Hey Wahan Tak Hum Nazir Magar Dastarus Nahi Is Lye Hazir Nahi @3 Jis Jagah Aur Maqam Par Hum Mojud Hen Wahan Hazir Hain K Is Jagah Humari Puhanch He #Aalam Me Hazir Nazir Hone Key Shar'ee Maana Ye Hen K Qudrat e Qudsiya Wala ALLAH ke Izn Se Ek Hi Jagah Reh Kar Tamam Aalam Ko Apne Kaff e Dast Ki Tarah Dekhey. Aur Door o Qareeb Ki Aawazen Suney. Ya 1 Aan Me Tamam Aalam Ki Sear Karey. Aur Sad'ha kos Pe Hajat Mandon Ki Haajat Rawai Karey. Ye Raftar Khuwa Ruhani Ho Ya Jism e Misaali K Sath @4 Dalail Se Qabal CHALENGE 2 Questions Q.1 Koi Aayet Aisi Bataen Jis Mey Rab Ki Sifat Hazir o Nazir Hona Bayan Ki Gayi Ho? Haan Shahid, Mojud, Muheet, Aleem, Baseer To Mil Jayegi Khuda Jagah Aur Makaan Se Paak Khuda Hazir Hey Magar Bagair Jagah Ke, Aur Uska Ilm o Qudrat Aalam Ko Gheray Huey Hey @5 Q.2 Hamara Aqeeda ALLAH ki Sifaat Zaati, Qadeem, Wajib, Na Mitnay Wali Aur Gair Makhluq Jab Ke Nabi Ki Sifat Atayi, Haadis, Mumkin, Faani Aur Makhlooq #Donu Baaton Ki Mojudgi Me Makhluq Ka Hazir Nazir Hona Quraan o Hadis Ki Roshni Mey Kufar o Shirk Sabit Karen