Monday 19 January 2015

@1 Jahan Logo Ki Aqal Langri, Maflooj Ho Jaati Hey Wahan Nigah e Nabuwwat Dekhti Aur Jahan Aqal Ka Charaagh Bujh Jaata Hey Wahan Sham'e Risalat Kaam Aati Hey @2 Zehan Ko Haazir Kar Ke Hazir Nazir K Ma'na Aur Is Hawale Sey Ahl e Sunnat Ka Aqeeda Samjen #HAZIR K Lugwi Ma'na Samney Mojud Hona Yani Gaaib Na Hona #NAZIR K Ma'na Dekhney Wala (Muntahul Arab, AlMisbahul Munir, Qamoosul Lugaat..) #Jahan Tak Hamari Nazar Kaam Karey Wahan Tak Hum Nazir Aur Jis Jagah Tak Hamari Dastarus Ho Ke Tasarruf Kar Len Wahan Tak Ham Hazir, Aasman Tak Nazar Kaam Karti Hey Wahan Tak Hum Nazir Magar Dastarus Nahi Is Lye Hazir Nahi @3 Jis Jagah Aur Maqam Par Hum Mojud Hen Wahan Hazir Hain K Is Jagah Humari Puhanch He #Aalam Me Hazir Nazir Hone Key Shar'ee Maana Ye Hen K Qudrat e Qudsiya Wala ALLAH ke Izn Se Ek Hi Jagah Reh Kar Tamam Aalam Ko Apne Kaff e Dast Ki Tarah Dekhey. Aur Door o Qareeb Ki Aawazen Suney. Ya 1 Aan Me Tamam Aalam Ki Sear Karey. Aur Sad'ha kos Pe Hajat Mandon Ki Haajat Rawai Karey. Ye Raftar Khuwa Ruhani Ho Ya Jism e Misaali K Sath @4 Dalail Se Qabal CHALENGE 2 Questions Q.1 Koi Aayet Aisi Bataen Jis Mey Rab Ki Sifat Hazir o Nazir Hona Bayan Ki Gayi Ho? Haan Shahid, Mojud, Muheet, Aleem, Baseer To Mil Jayegi Khuda Jagah Aur Makaan Se Paak Khuda Hazir Hey Magar Bagair Jagah Ke, Aur Uska Ilm o Qudrat Aalam Ko Gheray Huey Hey @5 Q.2 Hamara Aqeeda ALLAH ki Sifaat Zaati, Qadeem, Wajib, Na Mitnay Wali Aur Gair Makhluq Jab Ke Nabi Ki Sifat Atayi, Haadis, Mumkin, Faani Aur Makhlooq #Donu Baaton Ki Mojudgi Me Makhluq Ka Hazir Nazir Hona Quraan o Hadis Ki Roshni Mey Kufar o Shirk Sabit Karen

Friday 18 July 2014

NAMAZ MAIN Painchy Fold karna kaisa

#01 Kya Aap Namaz Me Aasteen Ya Paechy Fold To Nahi Kartey? Yaad Rakhye! Aisa Karna, Shalwar Dabochna Yaa Kisi Bhi Tareeqe Se Kaprey Ko Morna Makrooh Tehrimi (Qarib Ba Haraam), Is Amal Ke Sabab Namaz Lotaana WAAJIB He (Bukhari J1 P#113) (Muslim J1 P#193) (Tirmizi J1 P#22) (Abu Daud J1 P#94) #02 Mafhoom e Hadees:SARKAAR ALAI HIS SALAT O WASSALAAM nay irshad farmaya: MUJHY SATH(7) HADDION(do hathilian,do ghutny,dono kadam or peshaani) PAR SAJDA KARNY OR BAAL OR KAPRY NA URASNAY(Na fault karna) KA HUKAM DIYA GAYA HE (sahi muslim H#1076) (sahi bukhari H#774) #03 ¤Imam e Ahlesunnat¤ "Payinche Takhne Se Niche Rakhna Bi Makrooh e Tanzihi He" Bahawala Bukhari O Fatawa Alamgiri (Fatawa Razawiya 27/93) #04 KIYA AAP JANTE HEN ? Kaprha Morh Kr Ya Shalwar K Painche Fold Kr K Namaz Ada Krna Makroh E Tehrimi He Yani Namaz Ka Lotana Wajib He- BUKHARI>1/113 MUSLIM>1/193 #05 Aaj kal baz log Namaz k liye apni shlwar ya pent ko uppar ya niche se fold krte hen or Daleel ye dete hen hen k dekho Hadees me hai jis k paencha takhno se niche ho wo aag me hai. Lekin dr haqiqt mamla es k br aaks hai q k HAMARE NABI (Sllallaho aalaehi wasllm) ne frmaya jo shaks TAKBBUR KI WAJA SE PANCHE NICHE RAKHE GA us ka wo hissa aag me hoga. Lehaza masla bilkul waza ho gya k agar Namaz se bahr takkbur peda ho to kapron ko fold kr liya jae #06 lekin Namaz parhene k liye apne kapron ko hrgiz hrgiz na fold karen q k es ki waja Huzoor (sllallaho aalaehi wasllm) ka wo frman k "Mujhe hukm dya gya hai 7 hadiyon pe sajda krne ka or ye k Namaz k liye apne kapron or balon ko fold na karun". (Bukahri J 01 page 113) Agar paencha niche krne ki waja se bil farz namaz me takbbur aata ho to kapre choote estimal karne magr fold krne ki ejazt kisi surt nai Plz apni Namazon ki hifazt karen. Or Namaz k liye apne kapron ko hrgiz fold na karen

Wednesday 16 July 2014

YAZEED MARDUD

Yazeed* (sms1) Hafiz Ibne Hajjar Makki Likhte Hain:"Yazeed Beta Mawiya Bin Abi Sufiyan Bin Haarab Bin Ummaiyah Bin Abd Shams Hai.Kuniyat Us Ke Abou Khalid Hai.Hazrat E Usman Ke Khilafat Ke Zamane Mein Paida Howa Tha" (Radi'Allahu Anhum) *Yazeed* (sms2) "Yea Baat Bilkul Baatil Hai Ke Yazeed Ke Wiladat Uhad E Nabwi Mein Howi" {Tehzeeb AlTehzeeb Laa Bin Hajjar Al Asqalani11/36} *Yazeed* (sms3) Lehaza Qisa Gho Hazrat Jo Bayan Karte Hain Ke Ameer Mawaiya Apne Kandhe Per Yazeed Ko Uthaiye Huzoor Ke Bargha Mein Hazir Howe Tu Huzoor Ne Farmaiya"Jannati Per Jahanumi Suwar Hai.Yea Bilkul Mangharth Qissa Hai" {Ulma E Ahle Sunnat Ke Nazar Mein Yazeed:pg10} *Yazeed* (sms4) Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain: "Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yeahan Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed Hoga" {Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa Arabi Syouti:142} (sållållåho ålåihi wåålihi wåsållåm) *Yazeed* (sms5) Abou Darda Se Riwayat Hai: "Mere Tareeqe Ko Bdalne Wala Sub Se Phele Shks Bani Ummaiyah Mein Se Hai Aur Naam Yazeed Hoga" {Tareek Ul Khulafa Lil Syouti:143} (sållållåho ålåihi wåsållåm) *Yazeed* (sms6) Hazrat Abou Huraira Farmate Hain: "60 Hijri Se Allah Ke Pannah Mango Aur Bacho Ke Hukmrani Ke" {Albadaiyah O Alnahiyah:8/31} *Yazeed* (sms7) Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain: "Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi(Jahanum Ke Sakt Wadi)Mein Dalain Jain Ge" {Al Bidaya Wann Nihaya:8/230} (Radi'Allahu Anhu) *Yazeed* (sms8) "Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein Hoga.Woh He Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak Baqi Raha Phir Mar Gaya" {Fatha Ul Bari:13/8} *Yazeed* (sms9) Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein Likhte Hain: "Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Phele Yazeed Hai, Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare Bare Sharoun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga Apne Aziz O Akarib Mein No'umar Larkoun Ko Muqarar Karta Tha" {Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari: pg180 Hassiya Bukhari} *Yazeed* (sms10) Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain; "Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The: @QabilaSaqeef@ bani Hanifa@ Bani Ummaiya "Shah Muhadis Hadees Ke Sarah Mein Likhte Hain; "Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kamobesh 124000 Muslamoun Ko Qatal KIya, Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya, Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL Ko Qatal Kiya *Yazeed* (sms11) Hazrat Saad Bin Abi Waqas Farmare Hain: "Jo Shks Ahle Madina Ke Sath Burai Ka Irada Kare Ga Allah Taala Is Ko Us Tarah Pigali Ga Jis Tarah Namak Pani Mein Gulta Jata Hai" {Muslim:1/440} (Radi'Allahu Anhu) *Yazeed* (sms12) Qoul E Abou Barzha: "Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke Samne Rakha Tu Us Ne Apni Churi Se Imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge" {Seerat Halbiya:1/3} (sållållåho ålåihiwåsållåm) (Radi'Allahu Anhu) *Yazeed* (sms13) Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja Tu Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Kush Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada Hoge,Mager Woh Us Kishi Per Ziyada Deer Tk Qaim Na Raha Hatha Ke Phir Nadam Howa" {Albadaya Wann Nihaya:8/232} (Radi'Allahu Anhu) *Yazeed* (sms14) Aqeeda Shaab E Sharah Aqaid Farmate Hain: "Aur Haq Yea Hai Ke Yazeed Ka Hazrat Hussain Ke Qatal Per Raazi Aur Kush Hona Aur Ahle Bait Ke Ahanat Karna" {Sharah Aqaid E Nasfi:pg102} (Radi'Allahu Anhu) *Yazeed* (sms15) Allama Ibne Kaseer Farmate Hain: "Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Aindha Jub Haqeeqat Zahir Hogai,Baat Khule Ge Tu Phir Kiya Hoga.Lekin Na Tu Us Ibne Ziyad Ko Mazool Aur Na Bd Mein Us Ko Kuch Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke Alamat Ke" {Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203} *Yazeed* (sms16) Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko Rawana Howa,Suwari Per Kisi Ghari Soch Per Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nend Nahe Arahe Hai? Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?" Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na Kiya Hota? Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal Kardeta" {Ibne Aseer:4/55} *Yazeed* (sms17) Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine Per Charhai Karne Aur Makkah Mein Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ke Qasam!!Mein Is Fasiq(Yazeed)Ke Liye Ibne Rasool Ko Qatal(Jo Phele Karchuka Hun)Aur Kabbe Mein Larai Dono Ko Apne Liye Jamma Nahe Karoun Ga" Tu Us Ne Mazrat Kardi. {Ibne Aseer:4/45} *Yazeed* (sms18) >Qustutuniya Ke Jung< "Meri Umat Ka Phela Laskr Ko Qaiser Ke Sher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai" {Bukhari:1/401} Suwal:Kiya Yazeed Jannati Hai?? continue..... *Yazeed* (sms19) Mahfoom: Allama Ibne Aseer Likhte Hain: "Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya 50 Hijri Mein,Us Ke Ameer Hazrat Sufiyan Bin Aaouf Ko Banaiya Aur Yazeed Ko Bhe Ghazwah Mein Shmail Hone Ke Liye Kaha Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha Tu Wahan Aise Mouliq Bemari Hogaye,Yea Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne Kush Hokar Kuch Aashar Parhe" (Radi'Allahu Anhum) Continued... *Yazeed* (sms20) Aas'har Yea The: "Mujhe Parwah Nahe Ke In Lashkaroun Per Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aaparain,Jub Ke Mein Deer Meran Mein Ounchi Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Ho Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye Betha Hun" Yea Aashar Ameer E Mawiyah Tak Phounchi Tu Unho Ne Qasam Kahai Ke Yea Taqleef Is Ko Bhe Hone Chahiye. umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir Yazeed Ke Biwi The. {Ibne Aseer:3/189} *Yazeed* (sms21) Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein Youn Likhte Hain: "Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne Abbas,Ibne Omar,Ibne Zubair Aur Ayub Ansari The Aur Yea Lashkar Shar Ko Fatha Karte Howe Wahan Shaheed Hogaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein Itne Jalil Ul Qadar Shahbi Un Ke Matahat Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal Na Tha" {Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649} (Radi'Allahu Anhum) *Yazeed* (sms22) @Phela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke Ameer O Qaid Sufiyan Bin Aouf The. @Is Se Malooum Howa Ke Yazeed Phele Lashkar Mein Na Tha Bulkey Dosre Lashkar Mein Tha. @Jannati Phele Lashkar Tha Na Ke Dosra @Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne Ka Koi Shoq Na Tha Balkey Ameer Mawiya Ke Hukum Per Jihad Kiya. @Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja Tha Woh Tu Shair,Ayashi,Aur Umeey Kulsom Ke Sath tha. *Yazeed* (sms23)Yazeed k bete Mawiya Ne Kaha k Mere Bap Yazeed Ne Jub Hukumat Sanbhali Tu Woh Is Ka Ahl Hi Na Tha. Us Ne Rasool ke Nawase Se naza' ki. Aakhir Uski umr Ght Gaee Or Nasal Khatam Ho Gaee.... Hamain Malum hai k Usne Rasool ki Qurabat Daron Ko Qatl Kia Or sharab Ko Halaal Kia Or Baitullah Ko Weeran. {As Sawaiq ul muhriqa by Imam ibn e hajar makki Page:134} (sållållåho ålåihi wåålihi wåsållåm) *Yazeed* (sms24) Molvi Gulam Murshid(Devbund) sabiq Kateeb Shahi Masjid Lahore: "Jo Ilzamat Ameer Ul Momineen Yazeed Pr Lagaye Jatey Hai Woh Galat Aur Bebunyad Hai Kyoun Ke Rasool Ke Sohbat Ba Barkat Mein Beth Kar Taaleem Hasil Karne Wla Shahbi E Ikram Ne Yazeed Ke Bee'at Karke Apna Imam Tasleem Karliya Lehaza Yazeed Ke Sadaqat Ka Is Se Ziyada Sabot Aur Kiya Hosakta Hai" {Kitab Rasheed Ibne Rashed Pg;342} *Yazeed* (last Sms) Darse Aqaid: Alhumdulillah Ahle Sunnah Ka Aqeeda Hai Ke Yazeed Fasiq,Fajir,Sharabi Ahle Bait Ka Qatil Hai Aur Dua Karte Hain Jo Yazeed Se Mohabat Kare Woh Kul Baroz Qayamet Us He Ke Sath Uthe Aur Jo Hussaini Hain Woh Hazrat e Imam E Hussain Ke Sath. >*Ameen*<

HALWA

halwa @01 Halwa Khana Rasool e Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki SUNNAT-e-Mutawatir Aur SUNNAT-e-Aadiya Dono Par Amal He (Bukhari 2/718) Halwa @02 Sarkar AlaihissalatuWassalaam; "Jisne Apne Musalman Bhai Ko MEETHA LUQMA Khilaya Usey ALLAH Hashr Ki Takleef Se MEHFOOZ Rakhe Ga" (Sharahus Sudoor) Halwa @03 #Ahl e Sunnat Ka Halwa# #Deoband Ka JalwA# Haji Imdadullah; "Ghous Paak Ki 11ween Ka HALWA Esaal e Sawab Ke Qaidey Pr Mabni He" (Faisla Haft P#82) Halwa @04 #Kawwa Khaney Walon !!# Suno; Khaatey Hen Sunni Halwa Sarkar (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Karam Se.. Dekho To Najdiyon Ko Kawwon Pe Pyar Aaye..

TAWEEZ

TAWEEZ Baandhna Jaaiz He? A. "Aur Hum Qur'an Me Utaarte Hen Wo Cheez Jo Momino K Lye (Ruhani o Jismani) Amraz Se SHIFA He" Aayat Ke Tehat Mehmud Aalusi Ne Roohul Ma'ani Me Imam Subki, Imam Malik, Imam Baqir, Imam Seerin Ka Qoal Likha: "Asmae Elahi, Duae Maasura Ka Taweez Baandhna Sahaba o Tabaeen Ka Mamul, Jaaiz o Mustaheb He" Ibne Umer Apne Bachon Ko Muawwizat Ka Taweez Baandhte They (Abu Daud, Tirmizi) 2* Hazrat Anas sy Marwi "Huzur ny Nazr e Bad, zehrila haiwan kaatnay aur zakham pehlu sy Dham karnay ki rukhsat marhamat farmaee" (MUSLIM SHARIF) 3* Hazrat Aaisha say marwi, "Mujhe Nabi Karim nay Nazr e bad say Dham karnay ka Amar farmaya" (Bukhari-Muslim) 4* Hazrat Umme Salma say marwi "Huzur nay 1 Kaneeza k chehray may zardi deakh, to farmaya, isko Nazar hay, isko Dham karo" (Bukhari-Muslim) 5* Hazrat Oaf bin Malik say marwi "Huzur nay farmaya, jis Dham may kalamat e shirkiya na hon us may koi harj nahi" (MUSLIM) 6* KYA AP JANTE HAIN ? Ahle Wahabia Or Deoband K Nazdeek TA'WEEZ Pehenna BID'AT Hai- LEKIN Sipah.E.Sahaba K Rehnuma Molvi Abdul Ghafoor Nadeem Deoband Ka Beta Apne Seedhy Hath Pr TAA'WEEZ Bandhy To JAIZ Hai - >SABÖÖT> Roznama JANG 12/03/2010 Pg:02 FAISLA KEEJYE ! Taveez Pehenna Agar Biddat To Ye Kya Huwe ?

Ikhtilaf part page 1

f # 1 Allah Azzawajal k kuch Bande aise hain , agar Wo Allah ki Qasam utah lain to Allah Unhain Bri kar de ga. Bukhari Sharief j 1 p 272 , 394 j 2 p 646 , 664 aur Gair-Muqallid Aalim Allam Shokani ne Bukhari ki is Hadith ko Mozu yani Man-Gharat qarar de diya hai. (Al-Fawaid-ul-Majmua p 253 , 508 with reference Noor-ul-Sabah p 150) Ikhtilaf #2 Hazrat Aysha Razi Allah Ta'ala Anha ki Umar 6 saal ki thi to Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ne Un se Nikah farmaya aur Rukhsati k waqt Un ki Umar 9 saal thi. Sahee Bukhari j 1 p 551 aur Gair-Muqallid Aalim Faiz Aalam Siddique is Hadith ko Mozu yani Man-Gharat kehte hain , wo likhte hain k "9 saal wali Riwayat 1 Mozu Qol hai jise Hum Mansub Ilal Sahaba Razi Allah Ta'ala Anhum k siwa kuch nahi keh sakte" (Siddiqua Kainat p 80) Ikhtilaf #3 Bukhari Sharief aur Muslim Sharief ki AHADITH se sabit hota hai k Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam Namaz mai Bismillah Buland Awaz se nahi parhte the. (Sahee Bukhari j 1 p 103) lekin Gair-Muqallideen ki Rae ye hai k Bismillah buland Awaz se parhi jae. (Dastur-ul-Muttaqi p 79) (Araf-ul-Jadi p 36) (Al-Rozat-ul-Nadya j 1 p 101) Ikhtilaf #4 Bukhari Sharief ki Hadith jo Ilm-e-Gaib se Mutaliq bhi hai k "Meri Ummat mai kuch Log paida hon ge , jo Gaane-Baaje ko Halal samjhen ge". Sahee Bukhari j 2 p 837 Ahle-Hadith k Imam Ibn-e-Hazam Gaane-Baaje ko Jaez kehte hain. Gair-Muqallid Aalim Molana Abdul Haq (Risael Abdul Haq Hashmi j 1 p 58) par Ibn-e-Hazam k liye likhte hain k "Unho ne Gaane ko Mubah kaha hai aur is ki Ibahat mai is Hadd tak Mubaliga kiya hai k Jo Bukhari ki Hadith Gaane ki Hurmat Sabit karne wali hai , Use Zaeef Qarar de diya aur Daawa kiya hai k ye Hadith Munqatei hai". Ikhtilaf #5 Imam Bukhari farmate hain k "Tawaf se pehle Wuzoo karna chahiye ..... Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ne Tawaf se pehle Wuzoo kiya". (Sahee Bukhari j 1 , p 222 Baab-ul-Tawaf Alal Wuzoo) lekin Gair-Muqalliden ka kehna hai k Tawaf se pehle Wuzoo karna Sabit nahi. (Araf-ul-Jadi p 97) Ikhtilaf # 6 Imam Bukhari k Nazdeek 4 se ziada Shadiyan karna Jaez nahi. (Sahee Bukhari j 2 , p 763) lekin Gair-Muqalliden k yahan Bayak Waqt 4 se Zaid Shadiyan karna Jaez hai. (Araf-ul-Jadi p 111) (Zafar-ul-Malakhi p 141) Ikhtilaf #7 Imam Bukhari k Nazdeek Fajar ki Sunnaton k baad laitna Wajib nahi. (Sahee Bukhari j 1 , p 155 Baab Tahdas Baad-ul-Rakatain Wa Lam Yadtubah) lekin Gair-Muqallid k Paishwa Ibn-e-Hazam ki Rae ye hai k Fajar ki Sunnaton k baad Laitna Wajib hai. (Taiser-ul-Bari j 2 , p 179) balk ye Namaz ki Sharait mai se 1 Shart hai. (Nazal-ul-Abrar j 1 , p 125) Ikhtilaf #8 Imam Bukhari Rehmat-ullah Ta'ala Alehe farmate hai k Doran-e-Wuzoo Paon par Massah na kiya jae. (Sahee Bukhari j 1 , p 28 Baab Gusul-ur-Rajalain Wa la Yamsahu Alal Qadamain) Gair-Muqallid kehte hain k 1.Paon par Massah karna Durust hai. (Araf-ul-Jadi p 12) 2.Paon par Massah karne wale par Inkar karna Jaez nahi. (Hidyat-ul-Mehdi p 118) Ikhtilaf #9 Imam Bukhari farmate hain k Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam k baad Sub se Ziada Fazeelat Hazrat Abu-Bakar Razi Allah Ta'ala Anho ki hai. (Sahee Bukhari j 1 , p 516 Baab Fazlun Abu Bakar Baad-Al-Nabi Sallallaho Alehe Wasallam) lekin Gair-Muqalliden ko is se Ittifaq nahi , Un ka kehna hai k Hazrat Mehdi ki Fazeelat Hazrat Abu-Bakar Siddique aur Hazrat Umar Razi Allah Ta'ala Anha se Ziada hai. (Hidyat-ul-Mehdi p 90) Ikhtilaf # 10 Imam Bukhari farmate hain k Kapron mai Namaz parhna Wajib hai. (Sahee Bukhari j 1 , p 51 Baab Wujub-ul-Salat Fil Siyab) lekin Gair-Muqallid k Paishwa Allama Shokani aur Nawab Siddique Hasan Khan kehte hain k Kapron k hote hue Nange Badan Namaz parh li jae to Namaz Durust hai. (Nazal-ul-Abrar j 1 , p 65) Ikhtilaf #11 Imam Bukhari k Nazdeek Mutaa Jaez nahi Q k Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ne is se Manaa farmaya hai. (Sahee Bukhari j 2 , p 766 Baab Nahi Rasool Allah Sallallaho Alehe Wasallam An Nikah-ul-Mutata Akheera) lekin Gair-Muqalliden kehte hain k Mutaa Quran ki Qatae Ayat se Sabit hai. (Nazal-ul-Abrar j 2 , p 33) aur Mutaa karne wale ko Manaa nahi karna chahiye. (Hidyat-ul-Mehdi p 118) Ikhtilaf #12 Imam Bukhari k Nazdeek Aqeeqa karna Wajib nahi. (Bukhari Mua Taisair-ul-Baari j 7 , p 331) lekin Imam Ibn-e-Hazam aur Lais Bin Saad aur Daud Zahiri aur Abul Zanad Aqeeqe ko Wajib kehte hain. (Taisair-ul-Baari j 7 , p 331) Ikhtilaf #13 Imam Bukhari k Nazdeek Mayyit ko Uthane se Wuzoo Wajib nahi hota aur Mayyit ko Nehlane wale par Gusul bhi Wajib nahi. (Sahee Bukhari j 1 , p 167) lekin Gair-Muqalliden kehte hain k Mayyit ko Uthane wale par Wuzoo aur Nehlane wale par Gusul Wajib ho jata hai. (Roza Nadya p 28) (Badar wala Hala p 32 Ba-Hawala Ulma-e-Hind k Majmua Rasael) Ikhtilaf #14 Imam Bukhari "Saem-ul-Dahar" means hamesha Roze-dar rehte the , (Meezan-ul-Kubra j 1 , p 50) lekin Gair-Muqallideen kehte hain k "Matwatar Roza rakhne wale ka koi Roza nahi ! Aise Rozon ka koi Sawab nahi , Khuda un se khush nahi , ye Mehaz Faaqe hain". (Sabeel-ul-Rasool p 104) Ikhtilaf #15 Kisi Shakhs k samne khana rakh diya gaya ho aur wo Khana chor kar Namaz k liye chala jae to Imam Bukhari k Nazdeek Us ki ye Namaz durust hai. (Sahee Bukhari j 1 , p 93) (Taisair-ul-Bari j 1 , p 432) lekin Gair-Muqallideen kehte hain k Us par Wajib hai k pehle wo khana khae , agarche Namaz k Waqt k Khatam hone ka Andesha hi Q na ho , agar wo Khane se pehle Namaz parhe ga to Namaz Batil ho gi. (Nazal-ul-Abrar j 1 , p 57) Ikhtilaf #16 Imam Bukhari k Nazdeek Namaz mai Kandhe se Kandha Milana chahiye. (Sahee Bukhari j 1 , p 100) lekin Gair-Muqallideen Taangain Chori karne ki waja se Kandhon ko Milane k bajaye Un k Darmiyan kafi Fasla rakhte hain. (Fatawa Ulama-e-Hadith j 3 , p 21) Ikhtilaf #17 Imam Bukhari k Nazdeek Makhluq k liye Lafz-e-Molaa ka Istaemal Jaez hai. (Sahee Bukhari j 1 , p 528) lekin Gair-Muqallideen k Masoudi Firqe Al-Maaruf Jama'at-ul-Muslaimeen ka kehna hai k Makhluq mai se kisi ko Molaa kehna Jaez nahi hai. (Molaana p 3) Ikhtilaf #18 Imam Bukhari ka Aeitiqaad ye hai k Hazrat Umar Razi Allah Ta'ala Anho Quran-Pak k Intehai Mutie aur Us k Saamne Gardan Jhuka dene Wale the. (Sahee Bukhari j 2 , p 669) lekin Gair-Muqallideen Hazrat Umar Razi Allah Ta'ala Anho ko Quran ka Mukhalif kehte hain , Chunanche Jamiya Salfiya Banaras k Raees Muhammad Nadavi Hazrat Umar aur Ibn-e-Masood Razi Allah Ta'ala Anhuma k bare mai likhte hain k "In 2no Sahaba ko Nasuus (Quran-o-Hadith) ki Khilaf Warzi ka Murtakib Qarar diya ja sakta hai." (Tanveer-ul-Aafaq p 88) aur p 498 par hai k "Qurani Hukum mai Hazrat Umar Razi Allah Ta'ala Anho ne ye Tarmeem ki k 3 Tallaqain Qarar pane lagen." Ikhtilaf #19 Imam Bukhari Jumua k 2no Khutbon k Qael hain. (Sahee Bukhari j 1 , p 127) lekin Gair-Muqallideen Jumua ka 1 Khutba parhte hain aur 2re Khutbe ki Jaga Ilaqaai Zuban mai Taqreer karte hain. (Ahkaam-o-Masael) Ikhtilaf #20 Imam Bukhari k Nazdeek Bukhari ki koi Hadith Mann-Gharat nahi , Saari ki Saari Hadithen Sahee hain , is liye is book ka Naam "Al-Jamai-ul-Sahee" rakha hai. lekin Gair-Muqallideen kehte hain k Bukhari Sharief mai kuch Hadithen Mann-Gharat hain, 1> Sahee Bukhari j 1 , p 372 aur j 2 , p 646 2> Sahee Bukhari j 1 , p 551. 3> Sahee Bukhari j 2 , p 837.

Ikhtilaf part page 2

IKhtilaf #21 Imam Bukhari farmate hain k "Raat k Waqt Mayyat ko Dafan karna Jaez hai aur Hazrat Abu-Bakar Razi Allah Ta'ala Anho ko Raat k Waqt Dafan kiya gaya." (Sahee Bukhari j 1 , p 178) lekin Gair-Muqallideen kehte hain k "Raat k Waqt Murde ko Dafan karna Mana'a hai." (Araf-ul-Jaadi p 58) Ikhtilaf #22 Imam Bukhari ne Namaz se Mutalliq Hadith Zikar ki hai "Subhan-Allah kehna Mardon k liye aur Taali bajana Oraton k liye hai." (Sahee Bukhari j 1 , p 160) Is Hadith mai Mard-o-Orat ki Namaz ka Farq bayan kiya gaya hai, Gair-Muqallid Aalim Molana Abdul-Haq Hashmi aur Hanafi Aalim Molana Anwaar Khursheed Sahab ne Bukhari ki Is Hadith ko Mard-o-Orat ki Namaz k Farq k Dalaael mai Zikar kiya hai. (Risael Abdul Haqq Hashmi p 54 aur Hadith aur Ahle-Hadith p 483) lekin Gair-Muqallideen kehte hain k Mard-o-Orat ki Namaz mai koi Farq nahi hai. (Kitab-ul-Salaat p 100 Iqbal Kailani Salaat-ul-Muslaimeen p 221) Ikhtilaf #23 Imam Bukhari ne Bukhari Sharief mai 1 Baab Tehreer farmaya hai k "Sahib-e-Ilm-o-Fazal Imamat ka Ziada Haqdar hai." (Sahee Bukhari j 1 , p 93 Mukhtasir Sahee Bukhari j 1 , p 284) Gair-Muqallideen Aalim Molana Daud-Raaz Sahab Kitab-ul-Salaat p 219 par likhte hain k "Imam Bukhari ka ye Mazhab hai k Aalim Imamat ka Ziada Haqdar hai , Ba-Nisbat Qaari k." lekin Gair-Muqallid Hakeem Sadiq Siyalkoti (Sabeel-ul-Rasool p 240) par likhte hain k "Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ne Pehle number par Imamat ka Sub se bara Mustahiq Quran Majeed ka sub se Ziada Qaari Muqarrar farmaya hai aur Fiqh (isi tarah Bukhari) mai Pehle number par Sub se Ziada Sunnat ka Aalim Muta'iyan kiya hai , Goya Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam k Hukum ko Tabdeel kar diya hai." Ikhtilaf # 24 Mojuda Gair-Muqallideen Sahee Bukhari , Baab-ul-Salaat Alal Shaheed ki Hadith se Sabit karte hain k "Shaheed ki Namaz-e-Janaaza parhni chahiye." (Janaze k Masael p 78 Iqbal kailani Salaat-ul-Janaza ka Masnun Tareeqa p 42 Abdullah Daamaanvi) lekin Is k Bar-Aks Gair-Muqallideen k Akaabir ka Mazhab ye hai k "Shaheed ki Namaz-e-Janaza na parhi jae." (Dastur-ul-Muttaqi p 178 Salaat-ul-Rasool p 441 Kanz-ul-Haqaeq p 43 Haft Roza Al-Aetisam 1 Rabi-ul-Awwal 1419 Hijri Taisair-ul-Baari j 2 , p 300 Tashreeh Bukhari j 2 ,p 393 Taalem-ul-Salaat p 23) Ikhtilaf # 25 Bukhari Sharief mai Hadith hai k "Agar Imam baith kar Namaz parhaae to Tum bhi baith kar Namaz parho." (Sahee Bukhari j 1 p 96 j 2 p 845) Imam Bukhari aur Un k Ustad Imam Humaidi Is Hadith k Mutaliq farmate hain k ye Hadith Mansukh hai. Lekin Imam Bukhari ki Tehqeeq k khilaf Gair-Muqallideen k Baaz Ulama ki Rae ye hai k ye Hadith Mansukh nahi hai. (Taisair-ul-Baari j 1 p 455) Gair-Muqallideen ki book "Uun-ul-Maabud j 1 p 234 ref Tashreeh Bukhari j 1 p 642" "1 Giroh-e-Ahle-Hadith ka yahi Maslak hai jo Hadith-e-Anas mai Mazkur hai k Jub Imam baith kar Namaz parhae to Muqtadi bhi baith kar hi parhain." Ikhtilaf # 26 Imam Bukhari ne Sahaba Kiram k Fazael-o-Manaqib mai Hazrat Hasan-o-Hussain Razi Allah Ta'ala Anhuma ka Tazkira kar k 2no Shehzado ko Sahabi Tasleem kiya hai. (Sahee Bukhari j 1 p 530 Baab Manaaqib-ul-Hasan-o-Al-Hussain) lekin Is k Bar-Aks Gair-Muqallid Musannif Hakeem Faiz Aalam Siddique farmate hain k "Hazraat-e-Hasnain ko Zimra-e-Sahaba mai Shumar karna Sareehan Sibaiyat ki Tarjumaani hai ya Andha-Dhund Taqleed ki Kharabi." (Syedina Hasan Bin Ali p 23 ref Ulama-e-Hind k Majmuaa-e-Rasael j 1) Ikhtilaf # 27 Imam Bukhari Taraweeh k baad Tahajjud bhi parhte the, jo Sabit karta hai k Taraweeh aur Tahajjud 2no Mustaqil alag alag Namazain hain. (Hadith aur Ahle-Hadith p 684) lekin Gair-Muqallideen ki Rae hai k "Taraweeh, Tahajjud, Witar, Salaat-ul-Lail (Raat ki Namaz) sub 1 hi hain." (Taisair-ul-Baari j 2 p 76) Safi-ul-Rehman Mubarakpuri Gair-Muqallid likhte hain k "Bila-Shuba Tahajjud aur Taraweeh 1 cheez hain." (Ithaaf-ul-Karam Hashiya Balug-ul-Maram p 108) Ikhtilaf # 28 Imam Bukhari ne Hadith Zikar ki hai k "Hazrat Ayesha Razi Allah Ta'ala Anha Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ki Ramzan aur Gair-e-Ramzan ki Raat ki Namaz ka Zikar karte hue farmati hain k phir Aap Sallallaho Alehe Wasallam 3 Rakaat Witar parha karte the." (Sahee Bukhari j 1 p 154) lekin Gair-Muqallid Aalim Allama Shokani ki Rae ye hai k 3 Rakaat Witar na parhe jaen Q k 3 Rakaat Witar parhna Makruh hai. (Fatawa Nazeeriya j 1 p 537) Nawab Noor-ul-Hasan Gair-Muqallid ki Rae ye hai k "3 Rakaat Witar parhna Manaa hai." (Araf-ul-Jaadi p 33) Ikhtilaf # 29 Qurani Aayat jis mai Roze k Fidye ka Tazkira hai , Imam Bukhari ne Is Aayat k Mutalliq Hazrat Ibne-Abbas Razi Allah Ta'ala Anho ka Farman Naqal kiya hai k "Ye Aayat Mansukh nahi hai." (Sahee Bukhari j 2 p 647) lekin Gair-Muqallideen ka kehna hai k "Ye Aayat Mansukh hai." (Tafseeri Hawashi p 73 Salahuddin Yousf) Ikhtilaf # 30 Imam Bukhari ne Hadith Zikar ki hai k "Munafiq ki Nishani ye hai k Jub Wo baat karta hai to Jhoot bolta hai." (Sahee Bukhari j 1 p 10) lekin Abdullah Ropari Gair-Muqallid ne yahan tak likh diya hai k "Biwi ki Dil-joi k liye Allah Ta'ala par Jhoot bolna Jaez hai." (Fatawa Ahle-Hadith j 3 p 370) Ikhtilaf # 31 Imam Bukhari Apne se pehle k Ahle-Ilm Hazraat ki Taqleed kar liya karte the.Gair-Muqallid Aalim Molana Daud-Raaz likhte hain k "Qustulani ne kaha , Imam Bukhari ne ye Ma'ani Abu-Saleh Katib-e-Lais ki Taqleed se Naqal kar diya." (Tashreeh Bukhari j 4 p 319) lekin Gair-Muqallideen ka kehna hai k 1 > Taqleed Shirk hai. 2 > Wahi-e-Ilahi ko sub se Ziada Dhakka dene wali Cheez Taqleed hi hai. 3 > Islam mai sub se bara Fitna Taqleed hai. (1. Risael Bahawalpuri p 52 2. Tareeqa-e-Muhammadi p 23 3. Zarb-e-Shadeed p 12) Ikhtilaf # 32 Imam Bukhari ne Hadith Zikar ki hai k "Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ne farmaya k Musalman ko Gaali dena Gunah hai." (Sahee Bukhari j 2 p 1048) lekin Gair-Muqallideen Is Hadith se Be-Niyaz ho kar Fatawa Nazeeriya j 1 p 183 mai likhte hain k "Munkareen-e-Taqleed Aaimma-e-Mujtahiddeen ko Gaali Wagera dete hain aur kehte hain k Hum Apne Aap ko Hanafi ya Shafai kehna Sharab-Noshi aur Zina-Kaari se bhi bara Gunah samajhte hain , Khuda ki Panah aur Apne Mutalliq Da'awa karte hain k Hum Hadith par Amal karte hain." Ikhtilaf # 33 Imam Bukhari ne Hadith Zikar ki hai k jis se Sabit hota hai k Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ko Maa'eraj Halat-e-Baidari mai hua yani Maa'eraj Jismani tha. (Sahee Bukhari j 1 p 548 - Charagh ki Roshni p 51 Molana Muhammad Sarfaraz khan) lekin Gair-Muqallid Aalim Molana Inayat-Ullah Asari (Al-Itar-ul-Baleegh p 130) mai likhte hain k "Agar ye Taweel Safar Baidari mai hota hai jaise k 2re Safar Baidari mai hue to Aap Sallallaho Alehe Wasallam k saath Khadim bhi Is Safar mai saath hote aur Aap Wahan par Qayam farma kar Tableeg-o-Ishaat farma kar logon ko Sawaal-o-Aeitiraz ka Moqa dete jo k Nabuwat k Faraiz mai dakhil hai , Raat ko Khufiya Tor par Itni Jaldi Aamdoraft ka koi behter Matlab nahi." Ikhtilaf # 34 Imam Bukhari ne Hadith Zikar ki hai k "Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam Jub Namaz mai dakhil hote to Kaano ki Lo tak Apne 2no Haath Uthate." (Juzae Rafa-ul-Yadain Hadith 66) Ye Hadith Gair-Muqallideen k Nazdeek Sahee hai , Hafiz Zubair Ali Zae Gair-Muqallid Is Hadith k liye likhte hain k "Sahee hai dekhiye Hadith no. 7 , Is ko Imam Muslim (26 / 391) ne Saeed Bin Abi Aruba ki Sanad se Riwayat kiya hai." (Hashiya Juzae Rafa-ul-Yadain p 80) lekin 1 > Khalid Garjakhi aur 2 > Iqbal Kailani Gair-Muqallid likhte hain k "1. Allah-o-Akbar keh kar 2no Haathon ko Kandhon tak Uthaiye aur 2. Takbeer-e-Tehreema k saath 2no Haath Kandhon tak Uthana Masnun hai." (1 > Salaat-ul-Nabi p 152 2 > Kitab-ul-Salaat p 76) Ikhtilaf # 35 Imam Bukhari ne Huzoor Sallallaho Alehe Wasallam ka Irshad Naqal farmaya k "Hazrat Ali Razi Allah Ta'ala Anho se Bugz na rakho." (Sahee Bukhari Kitab-ul-Mgahazi Baab Bais Ali Ibne Talib) lekin Gair-Muqallideen k Qabil-e-Fakhar aur Maya-Naz Aalim Hakeem Faiz Aalam Siddique (Siddiqua-e-Kaainat) ka Seena Bugz-e-Ali se Labraiz hai , Kuch Jhalkiyan Mulahiza hon, p 51 mai "Hazrat Ali Razi Allah Ta'ala Anho ne Khilafat k Zariye Apni Shakhsiyat aur Zaat ko Qad-Awar banana chaha , jis ka Nateeja ye Nikla k Musalmano ki Sailabi Fatuhaat THAP ho kar reh gaen aur Kam-o-Baish 1 lakh Farzandaan-e-Toheed Khak-o-Khun mai Tarap kar Thande ho gae." p 56 mai "Hazrat Ali Razi Allah Ta'ala Anho k Khud-Sakhta Hukumrana Aburi Dor ko Khilafat-e-Rashida mai Shumar karna Sareehan Badd-Diyanati hai." p 228 mai "Aap Razi Allah Ta'ala Anho ki Shahadat Aalam-e-Islam k liye Rehmat ki Nishani Sabit hue Ikhtilaf # 36 Imam Bukhari k Nazdeek Aqwaal-o-Afaal-e-Sahaba Hujjat hain , Isi liye Unho ne Sahee Bukhari k Mukhtalif Abwaab mai Sahaba-o-Tabaeen etc k 1608 Aasar Bator Istidlaal Zikar kiye hain. (Fatah-ul-Baari , Sharah Bukhari j 13 p 454 Khatima book with reference Namaz Mudlal p 195) lekin Gair-Muqallideen Sahaba kiraam k Aqwaal-o-Afaal ko Hujjat nahi samajhte aur Gair-Muqallideen k Mujaddid Nawab Siddique Hasan Khan (Bador-ul-Aahilla p 28) par likhte hain k "Sahabi ka Faa'el Hujjat nahi hota , chahe Woh Darja-e-Sehat ko puhancha hua ho." (Badur-ul-Aahilla p 28) Ikhtilaf # 37 Imam Bukhari farmate hain k "Hazrat Ibne-Masuud, Hazrat Zaid Bin Sabit aur Hazrat Ibne-Umar Razi Allah Ta'ala Anhum Imam k peeche Qira'at k Qael na the." (Juza-ul-Qira'at p 30 with reference Ahsan-ul-Kalaam p 374 & 389) lekin Gair-Muqallideen ki Rae hai k Ibne-Masuud aur Ibne-Umar Razi Allah Ta'ala Anhuma Imam ki Iqtida mai Qira'at k Qael the , Gair-Muqallideen k Raees-ul-Mohaddeseen Muhammad Gondlavi ne In 2no Sahaba ko Qira'at Khalaf-ul-Imam k Qaeleen mai Shumar kiya hai. (Khair-ul-Kalaam p 238 & 241) Karam Din Salafi Gair-Muqallid ne Shaikh Chilli ki tarah Moj mai Aa kar ye Da'awa Haank diya hai k "Tamam Sahaba Kiram Razi Allah Ta'ala Anhum Imam k peeche Surat Fatiha parhne k Qael the." (Namaz mai Surat Fatiha Ulama-e-Ummat ki Nazar mai p 99) Ikhtilaf # 38 Waheed-ul-Zaman Gair-Muqallid ne Bukhari k Kaei Raviyon par Jarah ki hai, (Luggaat-ul-Hadith j 1 p 61 j 2 p 213 etc) mai Isi tarah Faiz Aalam Siddique Gair-Muqallid ne (Siddqua-e-Kaainaat p 107) mai Bukhari ki Sainkaron Aahadith k Ravi Ibne-Shahab Zehri ko Munafiqeen ka Ajent tk likha hai , bal-k Basheer-ul-Rehman Mustahsan Gair-Muqallid ne (Aatish-Kada Iran p 109) mai Ye kaha k "Ikhtilaf Mitane k liye Bukhari Sharief ko Aag mai Daal diya jae."